This is first ghazal thought by my Guruji Jawad Ali Khan, so this is tribute to him. I am asking you all not to leave…
Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo Yunhi pehlu mein bethey raho Yunhi pehlu mein bethey raho Aaj jaane ki zid na karo
Haaye mar jaayein ge Hum to lutt jaayein ge Aisi baatein kiya na karo Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo
Tumhi socho zara kyu’n na rokein tumhey jaan jaati hai jab uth ke jaatey ho tum jaan jaati hai jab uth ke jaatey ho tum tum ko apni qasam jaan-e-jaa’n baat itni meri maan lo Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo
Waqt ki qaed mein zindagi hai magar Waqt ki qaed mein zindagi hai magar chand gharriya’n yahi hain jo aazaad hain chand gharriya’n yahi hain jo aazaad hain inko khho kar kaheen jaan-e-jaa’n umr bhar na tarastey raho Aaj jaane ki zid na karo Aaj jaane ki zid na karo
Kitna masoom aur rangeen hai yeh sama husn aur ishq ki aaj me raj hai husn aur ishq ki aaj me raj hai kal ki kis ko khabar jaan-e-jaan rok lo aaj ki raat ko Aaj jaane ki zid na karo Yunhi pehlu mein bethey raho Yunhi pehlu mein bethey raho Aaj jaane ki zid na karo